
Aisa lagta hai .. ke ek naata hai jo tujhse juda hai..
saanse hain ke rukti nahi... dhadkan hai ke thamti nahi.... nazrein intezaar mein..
naa jaane kya hai ye... aisa bhi to nahi keh sakti.....
Per haan itna yakeen hai ke jo ishwar ka aashirwaad mila hai... Vo humari zindagi ko baarish ki boondo saaa chamakta rakhega..
ek yakeen hai..... na jaane kis pe .. tum pe .. ya bhagwaan pe.. ya humare rishte pe.... ya khud per....
ke har pal.. har din... intezaaar badhta jaa rha hai... or wishwaas gehrata jaa rha hai... ke "vo aayega ek din, mujhe saath leke vo jayega ek din"...
yakeen hai mujhe samay se pehle or kismat se zyada kisi ko kuch nahi milta.... per
jab bhagwaan se poocha tha ke kya main aage badh jau is raah per to unhone heee humara haath ek doosre ke haath mein diya thaaa... aisa hi laga thaa mujhe
mujhe kismat pe yakeen hai... kyunki bhagwaan ne heee likhi hai....
Vishwaas... sachaaii..pyaar... or kyaaa...
No comments:
Post a Comment